Tuesday 1 January 2013

Daata ek Ram, Bhikhari saree duniya


Daata ek Ram, Bhikhari saree duniya
Rama ke devta, Pujari saree duniya…
Dware pe uske jakay, koyi bhi pukaar taa
Param kripa de apni, bhowse ubaar taa
Aise dinnanath ke (2) Balihari saree duniya …
Do dinke jiwan praani, karle bhi pyar tu
Pyar prabhu ko apni, munme nihaar tu
Bina hari naam ke (2) Dukhiyari saree duniya…
Naam ka prakash jab, andar jagayega
Pyare Shri Rama kaa tu, darshan payegaa
Jyoti se jiski hai (2) Unjeeyari saree duniya …

No comments:

Post a Comment