Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Kabhi Girte Hue Ko Uthaya Nahi, Baad Aansoo Bahane Se Kya Faayada
Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahi, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Main To Mandir Gaya, Puja AartiKe, Puja Karte Hue Ye Khayaal AaGaya
Kabhi Maa Baap Ki Sewa Ki Hi Nahi, Sirf Puja Ke Karne Se Kya Faayda
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Main To Satsang Gaya Gurvani Suni, GurvaniKo Sunkar Khayal AaGaya
Janm Manav Ka Leke Daya Na Kari Phir Manav Kehlane Se Kya Faayda
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Maine Dan Kiya Maine Jap Tap Kiya, Dan Karte Hue Ye Khayal AaGaya
Kabhi BhokheKo Bhojan Khilaya Nahi, Dan LakhonKa KarneSe Kya Fayda
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Ganga Nahane Haridwar Kashi Gaya, Ganga Nahate Hi Man Mein Khayal Aa Gaya
Tan Ko Dhoya Magar Man Ko Dhoya Nahi Phir Ganga Nahane Se Kya Faayda
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Maine Ved Padhe, Maine Shashtra Padhe, Shastra Padhte Hue Ye Khayala A Gaya
Maine Gyan Kisi Ko Baanta Nahin, Phir Gyani Kehlane Se Kya Faayda
Kabhi Pyase Ko Pani Pilaya Nahi Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Maa PitaKe Hi Charnon Mein Charon Dham Hain, Aaja Aaja Yahi MuktiKa Dhaam Hai
Pita Mata Ki Sewa Ki Hi Nahi, Phir Teerthon Mein Jaane Se Kya Faayda
Kabhi Pyase Ko Paani Pilaya Nahin, Baad Amrit Pilane Se Kya Faayda
Kabhi Girte Hue Ko Uthaya Nahi, Baad Aansoo Bahane Se Faayda